Bata rahi hai ye zulmat e shab ki subah nazdeek aa rahi hai | Dr Israr Narrated Lyrics


Wo waqt aaya ki humko kudrat hamari sayyo amal ka fal de

Bata rahi hai ye zulmat e shab, ki subah nazdeek aa rahi hai

Abhi hai kuch imtehañ baaki falakato ke nishañ baaki

Qadam na piche hate ke kismat abhi hame aazma rahi hai. 

Siyaahio se huzi na hona ghamo se andohgi na hona

Inhi ke parde me zindagi ki nayi Sahar jagmaga rahi hai

"Raees" ahle nazar se kahdo ki aazmaish se jee na haare

Jise samajhte ho aazmaish, wahi to bigri bana rahi hai. 



There is some incorrect words in the fifth line in this poetry

If you know the right words please comment below...Sorry for the wrong lyrics...I could not able to find the right one.

Post a Comment

0 Comments