Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye | Poetry By Parveen Shakir

Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par | Parveen Shakir




Kabhi Ruk Gaye
Kabhi Chal Diye !
Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye,

Yunhi Umar Saari Guzaar Di
Yunhi Zinndagi Ke Sitam Sahe...

Kabhi Neend Mein
Kabhi Hosh Mein!
Tu Jahan Mila
Tujhe Dekh Kar

Na Nazar Mili
Na Zubaan Hili,
Yunhi Sar Jhuka Ke Guzar Gaye...

Kabhi Zulf Par,
Kabhi Chashm Par,
Kabhi Tere Hasin Wajood Par

Jo Pasand The Meri Kitab Mein
Wo Sher Saare Bikhar Gaye!

Mujhe Yaad Hai
Kabhi Ek The
Magar Aaj Hum Hai Juda Juda

Wo Juda Hue To Sanwar Gaye
Hum Juda Hue To Bikhar Gaye!

Kabhi Arsh Par
Kabhi Farsh Par,
Kabhi Unke Dar
Kabhi Dar-Badar
Gham - e - Ashiqui Tera Shukriya
Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye.

                                                 - Parveen Shakir

-----------------------------------------------------------

Kabhi Arsh Par
Kabhi Farsh Par
Kabhi Unke  Dar
Kabhi Dar-Badar
Gham-e-Ashiqui Tera Shukriya
Hum Kahan Kahan Kahan Se Guzar Gaye
Kabhi Rasto Mein Tanha
Kabhi Hu Gurood-e-Sehra
Main Junoon Ka Humsafar
Mera Koi Ghar Nahi Hai!
-------------------------------------------------------------

Follow Us On Social Media


Subscribe Us On YouTube
Qafas Poetry
Thanks For Visit


Post a Comment

15 Comments

  1. Wahhh Bahut umdhha shayri haii 😘😘👏👏 related to my life

    ReplyDelete
  2. Ghamy_aashqi Tera shukriya hum Kaha Kaha se guzar gay 🤐

    ReplyDelete
  3. Yae galib ki shayri kise aur k naam sae chipka di

    ReplyDelete
  4. Kabi neend me kabhi hosh me......
    These lines catch my everything when I read
    Seems these lines have been written for us .

    ReplyDelete
  5. Superb lines ❤️❤️❤️👌👌👌

    ReplyDelete
  6. In which year this poem were written and by whom? At many place it has been mentioned written by Parveen Sakri (Born in year 1954) but part of this shayri were used in Movie Funtoos-1956. Please mention the original shayar.

    ReplyDelete
  7. can anybody help to give a proper English translation of this poem? I am from Bangladesh. Want to translate it into Bangla. rahim.zahidur@gmail.com is my personal mail address. Thanks in advance. shukriya

    ReplyDelete

Please do not comment any spam links