Kalim Aajiz
Mere hi lahu par guzar-auqat karo ho
Mujhse hi amiro ki tarah baat karo ho
Din ek sitam ek raat karo ho,
Wo dost ho dushman ko bhi tum maat karo ho
Ham khak-nashin tum sukhan-ara-e-sar-e-bam,
Paas aa ke milo door se kya baat karo ho
Hum ko jo mila hai vo tumhi se to mila hai
Hum aur bhula de tumhen kya baat karo ho
Yuun to kabhi munh pher ke dekho bhi nahi ho
Jab waqt pade hai to mudarat karo ho
Daman pe koi chhint na khanjar pe koi daagh,
Tum qatl karo ho ki karamat karo ho
Bakne bhi do ''Aajiz'' ko jo bole hai bake hai
Diwana hai diwane se kya baat karo ho!
⇤⇥⇤⇥⇤⇥
Read More Kalim Aajiz
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Meaning
guzar-auqat - livelihood (रोजी रोटी)
sukhan-ara-e-sar-e-bam - reciting poetry on roof top (छत के ऊपर कविता पाठ करना)
khak-nashin - sitter in dust (धरती पर बैठने वाले)
mudarat - politeness (विनम्रता)
-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
0 Comments
Please do not comment any spam links