1. ab vo galiyañ vo makan yaad nahiñ
kaun rahta tha kahañ yaad nahiñ
jalva-e-husn-e-azal the vo dayar
jin ke ab nām-o-nishāñ yaad nahiñ
koi ujla sa bhala sa ghar tha
kis ko dekha tha vahañ yaad nahiñ
yaad hai zina-e-pechañ us ka
dar-o-divar-e-makañ yaad nahiñ
2. Ik zamana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahiñ koi kahiñ rahta hai
3. paani meñ aks aur kisi asman ka hai
ye naav kaun si hai ye dariya kahan ka hai
- Ahmad Mushtaq

0 Comments
Please do not comment any spam links