Parizaad Poetry | Parizaad Drama Poetry Collection

1.

Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Saare

Aa Dekh Tere Naam Se Mosoom Hain Saare


Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Houn Ab Tak

Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare


Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare 


2.

Raat ho chaand ho shanasa ho

Kyun nah rag rag mein phir nasha sa ho


Mein ne ik Umar kharch ki hai tum par

Tum mira qeemti asasa ho


Ek to khauf bhi ho duniya ka

Aur mohabbat bhi bey-tahasha ho 


3.

Sitare jo damakte hain

Kisi ki chashm-e-hairaa me

Mulaaqaatein jo hoti hai

Jamaal-e-abr-o-baaraan me


Ye na aabaad waqto me

Dil-e-naashaad me hogi

Muhabbat ab nahi hogi

Ye kuch din baad me hogi


Guzar jaayeinge jab ye din

Ye un ki yaad me hogi


4.

Kabhi tum ne kaha thha

Wapas laut jao

Kabhi tum ne kaha thha

Wapas laut jao

Ki Mohabbat haq hai

Haq kuch khoobruoñ ka

Haq kuch shahzadoñ ka

Bahot dilkash se jismoñ ka

Falak ke Parizaadoan ka

Magar iss saughat ka aari

Main ek aam sa qaari


So wapas laut aaya

Magar yeh keh na paya

Bahot barbad hote hain

faqat chehre kahan

Kuch Dil bhi Parizaad hote hain

Yeh dil jab toot jaye toh

Falak bhi kaañp utthtey hain

Mohabbat rooth jaye to

Wabaayein phail jati hain


Toh dekh lo janaañ

Tumhare shehr mein aaj

Jangloan ka sukoot hai

Tumhein naaz thha jis par

Woh mohabbat bhi mashroor hai

Tumhara husn bas ek saraan hai


Kya dilkash kya Badsoorat

Har chehre par naqaab hai

Har shakhs ba hijaab hai


5.

Ki mire qatl ke ba.ad us ne jafa se tauba 

haa.e us zud-pashimañ ka pashimañ hona


6.

hamesha der kar deta huuñ maiñ har kaam karne meñ 

zaruri baat kahni ho koi va.ada nibhana ho


use avaz deni ho use vapas bulana ho 

hamesha der kar deta huuñ maiñ 


madad karni ho us ki yaar ki Dharas bañdhana ho 

bahut derina rastoñ par kisi se milne jaana ho 

hamesha der kar deta huuñ maiñ 


badalte mausamoñ ki sair meñ dil ko lagana ho 

kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhuul jaana ho 

hamesha der kar deta huuñ maiñ 


kisi ko maut se pahle kisi ġham se bachana ho 

haqiqat aur thi kuchh us ko ja ke ye batana ho 

hamesha der kar deta huuñ maiñ har kaam karne meñ...


Nasaaz Poetry Collection

Parizaad Travel Poetry

Post a Comment

0 Comments