Kya tumne kabhi dekha hai
Kahani ka koi saanavii kirdar
Gali ke andhere nukkad par
Kisi lamp post tale
Cigarette ki dhua udata hua ajnabi
Ya tej barish ki bochhar me chhatri taane
Daud kar sadak paar karta ek anjan
Jise bhagti train ki khidki se dikhta
Platform par baitha koi gumnam
Ye chhote chhote saanavii kirdar
Be-rabt se gair aham se
Bina kisi zo'm bina kisi bhram ke
Ek lamhe me Nazar se ojhal ho jane wale
Jin par markaziyat ka bojh
Na koi ilzaam
Bs wahi kirdar jina chahta hu
Main kahani me bahut din markazi raha
Ab faqat ek saanavii kiradar banna chahta hu
Meaning :
Saanavii - Secondary
Markazi - central
1 Comments
Thanks for this Nazm'zs
ReplyDeletePlease do not comment any spam links