Dil Meri Jaan Mar Gaya Kab Ka
zakhm-e-ummid bhar gaya kab ka
qais to apne ghar gaya kab ka
ab to munh apna mat dikhao mujhe
naseho main sudhar gaya kab ka
aap ab puchhne ko aaye hain
dil meri jaan mar gaya kab ka
aap ik aur nind le lijiye
qafila kuch kar gaya kab ka
mera fihrist se nikal do naam
main to khud se mukar gaya kab ka
Devnagri
ज़ख़्म-ए-उम्मीद भर गया कब का
क़ैस तो अपने घर गया कब का
अब तो मुँह अपना मत दिखाओ मुझे
नासेहो मैं सुधर गया कब का
आप अब पूछने को आए हैं
दिल मिरी जान मर गया कब का
आप इक और नींद ले लीजे
क़ाफ़िला कूच कर गया कब का
मेरा फ़िहरिस्त से निकाल दो नाम
मैं तो ख़ुद से मुकर गया कब का

0 Comments
Please do not comment any spam links