Tu ne dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
kitne chup-chap se lagte hain shajar shaam ke baad
itne chup-chap ki raste bhi rahenge la-ilm
chhod ja.enge kisi roz nagar shaam ke ba.ad
main ne aise hi gunah teri judai mein kiye
jaise tufan mein koi chhod de ghar shaam ke baad
shaam se pahle wo mast apni udanon mein raha
jis ke hathon men the TuuTe hue par shaam ke baad
Raat biiti to gine aable aur phir socha
kaun tha ba.is-e-aġhaz-e-safar shaam ke baad
tu hai suraj tujhe ma.alum kahan raat ka dukh
tu kisi roz mire ghar mein utar shaam ke baad
lauT aa.e na kisi roz wo avara-mizaj
khol rakhte hai isi aas pe dar shaam ke baad
- Farhat Abbas
••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Follow Us On Social Media
Subscribe Us On YouTube
0 Comments
Please do not comment any spam links