Beautiful Collection of Two Lines Poetry | Sad Urdu Poetry Collection | Latest Urdu Poetry Couplets | Poetry That Should Be In Your Personal Diary
Ek muddat se ujray hi chalay aaye hain,
Ek lamhay mein kahaan humne sanwar jana hai,
Jis tarha kati raat, din bhi gaya haathon se,
Is tarha humne bhi kisi shaam guzar jana hai.
Khawaab dekhay thay toot kar Maine,
Toot kar khawaab dekhtay hain Mujhe
Ek arsay se seyah halqay hain meri aankhon mein,
Ek arsay se mera sukoon se koi Wasta nahi.
Mera khayaal tha ke nibhaye ga umr bhar,
Mujhko mere kahayaal par shabaash deejiye.
Kisi ne paas reh kar bhi thukra diya Mujh ko,
Kisi ne door se dekh kar bhi sadqay utaare
Ya to main milta nahi hu logoñ se
Ya main logoñ me mil jata hu
Kitaab, film, safar, ishq, shayari, aurat...
Kahan kahan na gaya khud ko dhundhta hua main
Kya kahuñ
Ubne laga hu 'Jamal'
Ek hi jaise
Subh o sham se main
~ Jamal Ehsani
Tum jisay be rukhi samajhtay ho
Hum usay ehtyaat kehte hain
Hum musafaat se aye huye logo'n ka Mian!
Masla rizq ka hota hai, Mohabbat Ka nahi
0 Comments
Please do not comment any spam links