इक हम हैं कि हर शोर से उकताए हुए हैं
सब जिनके लिए झोलियां फैलाए हुए हैं
वो रंग मेरी आंख के ठुकराए हुए हैं
इक तुम हो कि शोहरत की हवस ही नहीं जाती
इक हम हैं कि हर शोर से उकताए हुए हैं
दो चार सवालात में खुलने के नहीं हम
ये उक़दे तेरे हाथ के उलझाए हुए हैं
अब किसके लिए लाए हो ये चांद सितारे
हम ख़्वाब की दुनिया से निकल आए हुए हैं
हर बात को बेवजह उदासी पे ना डालो
हम फूल किसी वजह से कुम्हलाए हुए हैं
कुछ भी तेरी दुनिया में नया ही नहीं लगता
लगता है कि पहले भी यहां आए हुए हैं
है देखने वालों के लिए और ही दुनिया
जो देख नहीं सकते वो घबराए हुए हैं
सब दिल से यहां तेरे तरफ़दार नहीं हैं
कुछ सिर्फ़ मिरे बुग़्ज़ में भी आए हुए हैं
फ़रीहा नक़वी
Roman Script
Sab jinke liye jholiyan phailaaye hue hain
Wo rang meri aankh ke thukraaye hue hain
Ik tum ho ki shohrat ki havas hi nahin jaati
Ik hum hain ki har shor se uktaaye hue hain
Do chaar sawaalaat mein khulne ke nahin hum
Ye uqde tere haath ke uljhaaye hue hain
Ab kiske liye laaye ho ye chaand sitaare
Hum khwaab ki duniya se nikal aaye hue hain
Har baat ko bewajah udaasi pe na daalo
Hum phool kisi wajah se kumhlaaye hue hain
Kuchh bhi teri duniya mein naya hi nahin lagta
Lagta hai ki pehle bhi yahaan aaye hue hain
Hai dekhne waalon ke liye aur hi duniya
Jo dekh nahin sakte wo ghabraaye hue hain
Sab dil se yahaan tere tarafdaar nahin hain
Kuchh sirf mere bughz mein bhi aaye hue hain
— Fariha Naqvi
0 Comments
Please do not comment any spam links