Chashm dekhun na main us ki na hi abru dekhun | Ibrahim Ali Zeeshan


अब मैं सामान खरीदूँ कि तराज़ू देखूँ


चश्म देखूँ न मैं उस की न ही अबरू देखूँ
फिर वो क्या शय है जिसे दुनिया में हर-सू देखूँ

इस भरे शहर में बस एक ही सौदागर है
अब मैं सामान खरीदूँ कि तराज़ू देखूँ

जंग ने छोड़ दिए ज़ख़्म मिरे हाथों पर
फ़त्ह का जश्न मनाऊँ कि ये बाज़ू देखूँ

मुझ को हालात ने इस सम्त धकेला है मगर
मेरी ये 'उम्र कहाँ है कि मैं घुँगरू देखूँ

इन उजालों से बंधी हैं मिरी आँखें 'ज़ीशाँ'
इन उजालों से निकल जाऊँ तो घुँगरू देखूँ
- इब्राहीम अली ज़ीशान

Roman 

Chashm dekhun na main us ki na hi abru dekhun
Phir woh kya shay hai jise duniya mein har-su dekhun

Is bhare shahar mein bas ek hi saudagar hai
Ab main samaan kharidun ki taraazu dekhun

Jang ne chhod diye zakhm mere haathon par
Fatah ka jashn manaun ki ye baazu dekhun

Mujh ko haalaat ne is samt dhakela hai magar
Meri ye umr kahan hai ki main ghungroo dekhun

In ujaalon se bandhi hain meri aankhen 'Zeeshan'
In ujaalon se nikal jaaun to ghungroo dekhun
- Ibrahim Ali Zeeshan
Reactions

Post a Comment

0 Comments