Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaayega
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaayega
Itna Maanus Na Ho Khalwat-E-Gham Se Apni
Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhega To Dar Jaayega
Tum Sar-E-Raah-E-Wafaa Dekhte Rah Jaaoge
Aur Wo Baam-E-Rafaaqat Se Utar Jaayega
Zindagi Teri Ataa Hai To Ye Jaane Walaa
Teri Bakshish Teri Dehaliz Pe Dhar Jaayega
Doobte Doobte Kashti To Ochhaala De Doon
Main Nahin Koi To Saahil Pe Utar Jaayega
Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka ‘Faraz’
Zaalim Ab Ke Bhi Na Royega To Mar Jayega
0 Comments
Please do not comment any spam links