Pyare Afzal Drama Poetry Collection | Drama Poetry Collection


1.

Mere maazi ko andhere me daba rahne do

Mera maazi meri zillat ke siwa kuch bhi nhi 


Meri ummido ka hasil meri kavis ka sila

Ek benam aziyat ke siwa kuch v nhi 


Mujhse ab meri mohabbat ke fasane na kaho

Mujhe kahne do ke maine unhe chaha tha

 

Aur wo mast nigahe jo mujhe bhul gayi

Maine un mast niagaho ko saraha hi nhi 


Wahi gesu wahi nazre wahi ariz wahi jism

Main jo chahu mujhe aur bhi mil sakta hai


Wo Kamal jo kabhi unke liye khilna tha

Unki nazro se kahi door bhi khil sakta hai


2.

Ham gham me duble hue ja rhe hai

Aur log aakar Mubarak de rahe hai


3.

Dard-e-dil ke vaste paida kiya insan ko

varna taa.at ke liye kuchh kam na the karr-o-bayan

Post a Comment

0 Comments