Mujhe talash hai jiski khud apni hasti me
Wo koi shakhs to hoga khuda ki basti me
Bahut fareb diye hai mujhe ummido ne
Ek aisa waqt bhi aaya hai tang-dasti me
Main sochta hu ki ab khud ko bhi talash karu
Ek umr beet gayi hai KHudaa-parastii me
Main ek shaif e fitrat hu jo tumhare liye
Bulandio se utara gaya hai pastii me
Hum apne zakhm dikhate fire magar 'saqi'
Na aaya farq jamane ki tiira dastii me
•
Kon pursaan-e-haal hai mera
Zinda rahna kamal hai mera
Tu nahi to tera khyal sahi
Koi to ham khyal hai mera
•
Jo dunia ki tabahi chahte hai
Hum unse khair-kvahi chahte hai
Jo muzrim hai hamare wo humiñ se saboot e begunahi chahte hai
0 Comments
Please do not comment any spam links