Ammar Iqbal | Thak Gaye Ho To Thakan Chhod Ke | Qafas Poetry


Thak gaye ho to thakan chhod ke ja sakte ho
Tum mujhy waqiyatan chhod ke ja sakte ho

Ham darakhton ko kahan ata hai hijrat karna
Tum parinde ho watan chhod ke ja sakte ho

Tum se baaton me kuchh is darjah magan hota hoon
Mujh ko baaton me magan chhod ke ja sakte ho

Jane wale se sawalat nahi hote miyan
Tum yahan apna badan chhod ke ja sakte ho

Jana chaho to kisi waqt bhi khud se bahir
Apny andar ki ghutan chhod ke ja sakte ho

✍️Ammar Iqbal

In Urdu 

تھک گئے ہو تو تھکن چھوڑ کے جا سکتے ہو
تم مجھے واقعتاً چھوڑ کے جا سکتے ہو

ہم درختوں کو کہاں آتا ہے ہجرت کرنا
تم پرندے ہو وطن چھوڑ کے جا سکتے ہو

تم سے باتوں میں کچھ اس درجہ مگن ہوتا ہوں 
مجھ کو باتوں میں مگن چھوڑ کے جا سکتے ہو

جانے والے سے سوالات نہیں ہوتے میاں 
تم یہاں اپنا بدن چھوڑ کے جا سکتے ہو

جانا چاہو تو کسی وقت بھی خود سے باہر 
اپنے اندر کی گھٹن چھوڑ کے جا سکتے ہو

عمار اقبال

Also Read

Follow Us On Social Media


Post a Comment

0 Comments