Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai | Maulana Tariq Zamil Poetry | Ajal Ne Na Qisra Hi Chhoda Na Dara

Maulana Tariq Jameel Poetry

Ajal Ne Na Qisra Hi Chhoda Na Dara
Isi Se Shikandar Sa Fateh Bhi Hara
Har Ek Leke Na Kya Kya Hasrat Sidhara
Pada Rah Gaya Sab Yunhi Thaat Sara

Jagah Ji lagane Ki Duniya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa'n Hai Tamasha Nahi Hai

Mile Khaak Mein Ahle-Shaan Kaise Kaise
Hue Name-war Pe Nishaan Kaise Kaise
Zamin Kha Gayi Asmaan Kaise Kaise

Jagah Ji Lagane Ki Dunia Nahi Hai
Ye Ibrat Ki Jaa'n Hai Tamasha Nahi Hai

Tujhe Pehle Bachpan Ne Barson Khilaya
Jawani Ne Phir Tujhko Majnu Banaya
Budhape Ne Phir Aake Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar Degi Bilkul Safaya

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa'n Hai Tamasha Nahi Hai

Yehi Tujh Ko Dhun Hai Rahun Sabse Aala
Wo Sinat Nirali Wo Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marne Wala
Tujhe Husn-e zahir Ne Hai Dhoke Mein Dala

Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahi Hai
Ye Ibrat Ki Jaa'n Hai Tamasha Nahi Hai

Tu Khaer Aur Hawas Ko Chhod Miya
Batdesh Pardesh Phire Mara Mara
Kahzaq Azal Ka Loote Hai Din Raat Bajake Nakkara

Kya Bad Kya Bhaisa Bya Bail Shajar
Kya Goni Pallu Sar Bhara
Kya Gehun Chawal Rot Matar
Kya Aag Dhuaan Aur Angaara
Sab Thaat Pada Reh Jayega Jab Laut Chalega Banjara


FOLLOW US ON SOCIAL MEDIA


SUBSCRIBE US ON YOUTUBE

Post a Comment

0 Comments