Ajab Junoon-e-Musafat Mein Ghar Se Nikla Tha,
Khabar Nahin Hai K Suraj Kidhar Se Nikla Tha,
Ye Kaun Phir Se Unhin Raston Mein Chor Gaya,
Abhi Abhi To Azab-e-Safar Se Nikla Tha,
Ye Teer Dil Mein Magar BeSabab Nahin Utra,
Koi To Harf Lab-e-Charagar Se Nikla Tha,
Ye Ab Jo Aag Bana Shahr Shahr Phaila Hai,
Yahi Dhuan Mire Divar-o-Dar Se Nikla Tha,
Main Raat Toot K Roya To Chain Se Soya,
K Dil Ka Zehr Meri Chashm-e-Tar Se Nikla Tha,
Ye Ab Jo Sar Hain Khamida Kulah Ki Khatir,
Ye Aib Bhi To Hum Ahl-e-Hunar Se Nikla Tha,
Wo Qais Ab Jise Majnun Pukarte Hain FARAZ,
Teri Tarah Koi Divana Ghar Se Nikla Tha.
•••••
Subscribe Us On YouTube
Follow Us On Social Media
0 Comments
Please do not comment any spam links