Sukoon e dil ke liye kuch | Kaha se chhedi fasana kaha tamam karu | Full Ghazal



Sukoon e dil ke liye kuch
to ehtimaam karoon
zara nazar to mile
phir unhe salaam karoon

Mujhe to hosh nahi
aap mashwara dije
kahan se chhedoon fasana
kahan tamaam karoon

Unhi ke zulm ka shikwa karoon zamane se
unhi ke haq main duayen main subah shaam karoon

Woh bewafa hain to ham ne Shakeel soch liya
mujhe kasam hai kisi se agar kalam karo

The first two couplets of this ghazal were recited by the legendary Dilip Kumar at a mushayra in the honour of Kunwar Mahendra Singh Bedi 'Seher'.

Post a Comment

0 Comments